Sunday, February 16, 2014

Kushwaha Chapter 5 : The story of C.B.I. Part 1

CBI investigation ke 5 months pehle Family Welfare Department (jo kushwaha ji ke pass tha) Nasimuddin Siddaqi ko de diya gaya jisse ki kushwaha ji ko corruption me fasa ke jail bhijwaya ja sake.Aur jo bhi papers CBI ko mile wo sare farzi the. Aur CBI ko ye sare papers iss condition pe diye gaye ki CBI unhi files se related jaanch karegi jo files unhe di gayi hai. Wahi files jo last 5 months me taiyar ki gayi thi.

Pehle 2 murders huye fir 1 aur murder hua aur fir kuch mahino ke baad NRHM scam ki baat samne ayi. Murders ki investigation July 2011 ko shuru hui aur NRHM Scam ki 15th November 2011 ko, Main case murder ka tha aur uski investigation 5 months pehle shuru hui thi lekin fir bhi itne mahino me case ki koi progress nai hui aur 5 months baad ghotale ki investigation to aise speed me hui ki 2 months ke andar CBI ne chhapa bhi mar lia aur next 2 months ke andar Babu Singh Kushwaha ko arrest bhi kr lia. Uske baad se CBI isi koshish me lagi hai ki kuch bhi karna hai lekin kushwaha ji ko bahar nai jane dena because some high profile people knew that he is innocent and people will support him.

According to law if the person is in custody then chargesheet should be filed within 90 days otherwise accused has the Right of bail. CBI filed chargesheet against Kushwaha just before the deadline. why?
"Isliye ki agar ab delay kia to kushwaha ki bail ho jayegi." And that chargesheet was of more than 10,000 pages. And they didn't get enough time to prepare before next hearing. Can u imagine ki 10,000 se bhi zyada pages ko padhke uske according apne case ki taiyari itne se time me kaise kari gayi hogi? Nai ki ja sakti, kyunki pages ko sirf padhna nai tha, aage kaam bhi karna tha. Aur mujhe kafi relevant source se pta chala ki Kushwaha ji ka lawyer next hearing tak puri chargesheet bhi nai padh paya tha kyunki use documents hi 2 ya 3 din baad mile the (Chargesheet ko photocopy karwani padti hai accused ke lawyer ko. aur usme bhi time lagta hai) .  

Tab se C.B.I. kya kar rhi hai -
CBI ek court hearing me kuch papers submit kr deti hai case se related kisi bhi insaan ko accuse krte huye. Aur next hearing me kuch khass na kr pane pe court se maafi maang leti aur aage ka time leti hai. Fir lawyers ki strike ho jati hai aur court agli sunwayi pe hota hai. Ye strike 1 month tak bhi chal sakti hai, fir jo sunwayi hoti hai usme CBI ek chargesheet le aati hai hazaron pages ki aur aise to next date me thoda time hota hai lekin jab chargesheet dete hain to date 15 days ke andar ki hi milti hai. Tab lawyers strike bhi nai karte.. STRANGE!!

Jo cases C.B.I. ne file kiye usme murder ya attempt to murder ki koi complain nai mili. Lekin corruption ko age karke muderers and conspirators ko bachaya ja rha hai. 

No comments:

Post a Comment