Friday, February 14, 2014

Kushwaha Chapter 3 : Shadyantra 2

Family welfare department bhale hi Kushwaha ke pass tha lekin usme kaam wahi hota tha jo dusre higher post ke log kehte the kyunki department ke top executives ko aisa krne ke liye majboor kiya gaya. Iska to seedha matlab ye hai ki department me hui herapheri ka kushwaha ko pta hi nai tha.
27th oct 2010 ko Dr. Vinod Arya (C.M.O. family welfare , lucknow ) ki aur 2nd April 2011 ko C.M.O. Dr. B.P. Singh ki hatya kr di gayi. aur hatya ka reason department me ho rahe corruption ko bataya gaya. Media ne kafi help kari is baat ko age badhane me. Kushwaha ne bahot koshish ki hatyaon ki jaanch ho achhe se lekin mayawati ne unki baat ko ahmiyat nai di kyunki mayawati ko pta tha ki ye sab planning hai kushwaha ke khilaf. Akhir itni badi planning ke peeche kisi important person ka support to hoga hi nai to 2-2 murder ho gaye aur CBI bhi nai pta kr payi ki kisne kiye. fir kya hona tha...kuch mahino ke baad kushwaha aur Anant mishra (health minister) ko resign krna pada. http://indianexpress.com/article/cities/lucknow/cbi-gives-clean-chit-to-cmos-murder-accused/2/
Mayawati ne tab Investigation ke order diye jab unke upar controversies day to day badhne lagi aur Dr. Sachan ko dono CMO murder case me accuse mankar jail me dala gaya. Jahan tak meri research kehti hai ki sachan ne jail me kaha ki wo agli hearing (23rd june 2011) me court ko dono murder ke bare me sab sach bta denge to unhe hearing me jane hi nai diya gaya matlab 22nd june 2011 ko unki bhi hatya karwa di gayi. http://ibnlive.in.com/news/mayawati-orders-cbi-probe-into-cmo-murders/169010-37.html
Dr. Sachan murder case abhi bhi mystry hai lekin us time ise suicide maan lia gaya tha.
"CBI files closure report in Dr Sachan's death saying forensic report points to suicide"Aisa news me aya tha lekin jail me do murders ke doshi pe itna bhi dhyan nai diya gaya ki wo suicide na kare. Well 90% logon ko pta hai ki ye suicide case nai hai..Dr. sachan ke family members bhi abhi haar nai maan rhe aur baar baar btane ki koshish kr rhe hain ki unka murder hua tha jail me. http://timesofindia.indiatimes.com/city/lucknow/NRHM-scam-CBI-reopens-Sachan-death-case/articleshow/26818583.cms
Kushwaha ne fir hatyaon ki jaanch ke liye bola to iss baar unhe dhamkaya gaya ( kareebi logon ke anusar) aur shant rehne ko bola gaya. Jab wo nai shant huye to mayawati ne unse bola ki " tumhare department me corruption / ghotala hai isliye tum shant raho" kushwaha ne kaha lekin baat to hatyaon ki hai jiski jaanch zaroori hai lekin mayawati ne nahi suna aur family welfare department Nasimuddin Siddaqi ko de diya aur fir kushwaha ke against evidence collect kiye gaye ya banaye(fake) gaye. kyunki ye sab janne ke baad mujhe to lagta hai ki department kisi aur ko dena matlab evidences ko khatam karna  aur department kisi aur ko dena hi nai chahiye tha agar usme ghotala tha pehle uski jaanch karwani chahiye thi agar koi sach me doshi hai to evidence collect krne ka kaam CBI ka tha kisi minister ka nai. waise aisa kafi log sochte hain ki jab evidence khatam karne ka bharpoor time tha to fir bhi evidence kaise mile. Shayad Kushwaha ke khilaf evidences bane hi asli evidences ko khatam karne ke liye. Fir teeno murders ko base banakar scam ka roop diya gaya. Bravo! 

**Kehne ko to dono ministers ne resign kiya lekin dusre minister ne to kuch kiya hi nai.. wo to innocent nikla ? Nahi.. wo innocent nai hai, bass uske against logon ki paltan nai thi aur use jail bhijwane ka plan nai tha. Usse resign isliye karwaya gaya taki logon ko kehna ka mauka na mile ki Anant mishra bhi to isi se related hai to sirf kushwaha se kyun resign krwaya gaya.


No comments:

Post a Comment