Monday, February 17, 2014

Kushwaha Chapter 6 : The Story of C.B.I. Part 2

Mayawati ke pass 20 M.P. (member of parliament) hain aur mayawati ke support se hi central government abhi tak chali hai. Thode thode time me government ko Mayawati ke support ki zarurat hoti hai. C.B.I. central government ke under work karti hai jiska misuse Mayawati Babu Singh Kushwaha ke khilaf kr rhi hai. CBI par kitna bharosa kiya ja sakta hai ye aap ko decide karna hai. Mujhe jo kuch bhi pta chala wo maine yahan likh diya aage apki marzi.
High profile cases in which no serious actions were taken :
Supreme Court relief for Mayawati, no inquiry in Taj corridor case - 10-11 years se chal rhe iss case  me CBI ne kisi ko bhi arrest nai kiya . Itna dheere kaam to nai karti CBI agar NRHM scam se compare kiya jaye to. Kya itne saalo me CBI ko koi bhi documents, koi bhi evidence nai mile? 

C.B.I. said only but couldn't do anything - Enough material to proceed against Mayawati, CBI sources say - 9th august 2013

Chargesheet delays: Many accused in high-profile cases get bail - The times of India 
In the Adarsh case, investigatiors thrice missed the deadline to file chargesheets. A magistrate granted bail to three urban development (UD) department staffers on July 5, 2011 in the missing files case. In the main Adarsh case, seven of the accused -- including serving and retired bureaucrats and military officers -- got bail on May 29, while the remaining two -- former civic chief of Mumbai Jairaj Phatak and former UD principal secretary Ramanand Tiwari -- walked out on June 7.

Y P Singh, advocate and former IPS officer, said that since investigations had been on for about 15 months, the CBI had ample time to file the Adarsh chargesheet. Singh, who is representing the petitioner in the separate Adarsh PIL, said, "Such a thing probably happend because of political pressure as two Union ministers are also being investgated. It is more than apparent that in such situations officers become helpless despite diligent investigation."

Sunday, February 16, 2014

Kushwaha Chapter 5 : The story of C.B.I. Part 1

CBI investigation ke 5 months pehle Family Welfare Department (jo kushwaha ji ke pass tha) Nasimuddin Siddaqi ko de diya gaya jisse ki kushwaha ji ko corruption me fasa ke jail bhijwaya ja sake.Aur jo bhi papers CBI ko mile wo sare farzi the. Aur CBI ko ye sare papers iss condition pe diye gaye ki CBI unhi files se related jaanch karegi jo files unhe di gayi hai. Wahi files jo last 5 months me taiyar ki gayi thi.

Pehle 2 murders huye fir 1 aur murder hua aur fir kuch mahino ke baad NRHM scam ki baat samne ayi. Murders ki investigation July 2011 ko shuru hui aur NRHM Scam ki 15th November 2011 ko, Main case murder ka tha aur uski investigation 5 months pehle shuru hui thi lekin fir bhi itne mahino me case ki koi progress nai hui aur 5 months baad ghotale ki investigation to aise speed me hui ki 2 months ke andar CBI ne chhapa bhi mar lia aur next 2 months ke andar Babu Singh Kushwaha ko arrest bhi kr lia. Uske baad se CBI isi koshish me lagi hai ki kuch bhi karna hai lekin kushwaha ji ko bahar nai jane dena because some high profile people knew that he is innocent and people will support him.

According to law if the person is in custody then chargesheet should be filed within 90 days otherwise accused has the Right of bail. CBI filed chargesheet against Kushwaha just before the deadline. why?
"Isliye ki agar ab delay kia to kushwaha ki bail ho jayegi." And that chargesheet was of more than 10,000 pages. And they didn't get enough time to prepare before next hearing. Can u imagine ki 10,000 se bhi zyada pages ko padhke uske according apne case ki taiyari itne se time me kaise kari gayi hogi? Nai ki ja sakti, kyunki pages ko sirf padhna nai tha, aage kaam bhi karna tha. Aur mujhe kafi relevant source se pta chala ki Kushwaha ji ka lawyer next hearing tak puri chargesheet bhi nai padh paya tha kyunki use documents hi 2 ya 3 din baad mile the (Chargesheet ko photocopy karwani padti hai accused ke lawyer ko. aur usme bhi time lagta hai) .  

Tab se C.B.I. kya kar rhi hai -
CBI ek court hearing me kuch papers submit kr deti hai case se related kisi bhi insaan ko accuse krte huye. Aur next hearing me kuch khass na kr pane pe court se maafi maang leti aur aage ka time leti hai. Fir lawyers ki strike ho jati hai aur court agli sunwayi pe hota hai. Ye strike 1 month tak bhi chal sakti hai, fir jo sunwayi hoti hai usme CBI ek chargesheet le aati hai hazaron pages ki aur aise to next date me thoda time hota hai lekin jab chargesheet dete hain to date 15 days ke andar ki hi milti hai. Tab lawyers strike bhi nai karte.. STRANGE!!

Jo cases C.B.I. ne file kiye usme murder ya attempt to murder ki koi complain nai mili. Lekin corruption ko age karke muderers and conspirators ko bachaya ja rha hai. 

Saturday, February 15, 2014

Kushwaha chapter 4 : Media

Sutron ke mutabik Babu singh kushwaha ko bhi marwane ka prayas kiya gaya. Kushwaha ko ye baat achhe se pta thi isliye samaj ke logon ke kehne par unhone mayawati ko ek letter bhi likha jisme unhone bola ki unhe party ke kuch logon se jaan ka khatra hai. fir bhi mayawati ne kuch nai kiya aur ulte unhe party se nikal diya. Following links are related to dis issue -
http://www.pardaphash.com/news/babu-singh-kushwaha-i-am-facing-life-threat-from-naseemuddin-shashank-shekar-and-fateh-bahadur/683791.html

http://indiatoday.intoday.in/story/babu-singh-kushwaha-mayawati-letter/1/160737.html

Agar murders uttar pradesh me corruption se related the to sirf lucknow me hi murder kyun huye, baki ki jagah kya corruption nahi tha. Aur Dr. B.P. singh ko sirf 33 din huye the CMO ki post pe rahe to 33 days me unhone aisa kya kr diya ki unki hatya karwa di gayi.

According to Dainik Jagran news 16th may 2012, CBI ko pta chala ki Dr. vinod Arya ki hatya 5 lakh deke karwayi gayi aur Dr. A.K. Shula and Dr. Sachan dono apas me mile the aur dono hi Dr. vinod ke murder ki wajah the. In dono ne kafi herapheri kari department me and Dr. B.P. Singh ki hatya karwayi. accorting to newpaper department me unstability lane wale aur former minister Kushwaha ki image kharab karne wale kaun log the? I think sabke pass iss question ka answer hoga lekin kisi ne bhi kuch nai bola aur Investigation ke baad bhi kisi ke against koi action nai liya gaya aur Dr. Shukla ko bail bhi mil gayi. 
According to The Times of India 24th may 2012, dono CMO murders me former minister Anant mishra, Dr. A.K. Shukla , Dr. Sachan , M.L.C. Sanjeev dwivedi (Ramu Dwivedi) who is close to M.P. Dhananjaya involve hain. http://articles.timesofindia.indiatimes.com/2012-05-16/lucknow/31725970_1_murder-case-cmos-of-family-welfare-ram-krishna-verma
Ye unfair investigation krke CBI asani se 2 saal se court ko gumraah kr rhi hai. yahan tak ki CBI ne har us time pe chargesheet ke bade bade bundle diye jab kushwaha ko bail milne ki sambhawana rahi hai. Iske alawa ye bhi question hai ki sirf kushwaha ko hi kyun resign krna pada, party se bahar jana pada aur yahan tak ki jail bhi jana pada jabki itni sari controversies ke baad bhi Anant Mishra, Shashank Shekhar , Fatehbahadur , Anand and Mayawati bahar kyun hain. Anant Mishra aur Kushwaha dono ki NRHM wali F.I.R. sath me hi likhi gayi to aaj dono ke halat itne alag kaise hain. Kyun kushwaha jail me aur Anant Mishra aram ki zindagi jee rhe hain.

**Bas 2 newspaper ne iss issue pe awaaz uthayi lekin fir bhi baaki media ne ise ignore kr diya. Agar yahi 2 newspaper ye bolte ki kushwaha ne hi sab kiya hai baki sab innocent hain to poora media inki iss baat ko promote krta aur khud isse related statement deta. I guess media ko bass mirch masaledar khabron ki hi bhookh hai.. aaj ka media khud sachayi se bahot door hai to logon ko kya hi sach batayega. 



Friday, February 14, 2014

Kushwaha Chapter 3 : Shadyantra 2

Family welfare department bhale hi Kushwaha ke pass tha lekin usme kaam wahi hota tha jo dusre higher post ke log kehte the kyunki department ke top executives ko aisa krne ke liye majboor kiya gaya. Iska to seedha matlab ye hai ki department me hui herapheri ka kushwaha ko pta hi nai tha.
27th oct 2010 ko Dr. Vinod Arya (C.M.O. family welfare , lucknow ) ki aur 2nd April 2011 ko C.M.O. Dr. B.P. Singh ki hatya kr di gayi. aur hatya ka reason department me ho rahe corruption ko bataya gaya. Media ne kafi help kari is baat ko age badhane me. Kushwaha ne bahot koshish ki hatyaon ki jaanch ho achhe se lekin mayawati ne unki baat ko ahmiyat nai di kyunki mayawati ko pta tha ki ye sab planning hai kushwaha ke khilaf. Akhir itni badi planning ke peeche kisi important person ka support to hoga hi nai to 2-2 murder ho gaye aur CBI bhi nai pta kr payi ki kisne kiye. fir kya hona tha...kuch mahino ke baad kushwaha aur Anant mishra (health minister) ko resign krna pada. http://indianexpress.com/article/cities/lucknow/cbi-gives-clean-chit-to-cmos-murder-accused/2/
Mayawati ne tab Investigation ke order diye jab unke upar controversies day to day badhne lagi aur Dr. Sachan ko dono CMO murder case me accuse mankar jail me dala gaya. Jahan tak meri research kehti hai ki sachan ne jail me kaha ki wo agli hearing (23rd june 2011) me court ko dono murder ke bare me sab sach bta denge to unhe hearing me jane hi nai diya gaya matlab 22nd june 2011 ko unki bhi hatya karwa di gayi. http://ibnlive.in.com/news/mayawati-orders-cbi-probe-into-cmo-murders/169010-37.html
Dr. Sachan murder case abhi bhi mystry hai lekin us time ise suicide maan lia gaya tha.
"CBI files closure report in Dr Sachan's death saying forensic report points to suicide"Aisa news me aya tha lekin jail me do murders ke doshi pe itna bhi dhyan nai diya gaya ki wo suicide na kare. Well 90% logon ko pta hai ki ye suicide case nai hai..Dr. sachan ke family members bhi abhi haar nai maan rhe aur baar baar btane ki koshish kr rhe hain ki unka murder hua tha jail me. http://timesofindia.indiatimes.com/city/lucknow/NRHM-scam-CBI-reopens-Sachan-death-case/articleshow/26818583.cms
Kushwaha ne fir hatyaon ki jaanch ke liye bola to iss baar unhe dhamkaya gaya ( kareebi logon ke anusar) aur shant rehne ko bola gaya. Jab wo nai shant huye to mayawati ne unse bola ki " tumhare department me corruption / ghotala hai isliye tum shant raho" kushwaha ne kaha lekin baat to hatyaon ki hai jiski jaanch zaroori hai lekin mayawati ne nahi suna aur family welfare department Nasimuddin Siddaqi ko de diya aur fir kushwaha ke against evidence collect kiye gaye ya banaye(fake) gaye. kyunki ye sab janne ke baad mujhe to lagta hai ki department kisi aur ko dena matlab evidences ko khatam karna  aur department kisi aur ko dena hi nai chahiye tha agar usme ghotala tha pehle uski jaanch karwani chahiye thi agar koi sach me doshi hai to evidence collect krne ka kaam CBI ka tha kisi minister ka nai. waise aisa kafi log sochte hain ki jab evidence khatam karne ka bharpoor time tha to fir bhi evidence kaise mile. Shayad Kushwaha ke khilaf evidences bane hi asli evidences ko khatam karne ke liye. Fir teeno murders ko base banakar scam ka roop diya gaya. Bravo! 

**Kehne ko to dono ministers ne resign kiya lekin dusre minister ne to kuch kiya hi nai.. wo to innocent nikla ? Nahi.. wo innocent nai hai, bass uske against logon ki paltan nai thi aur use jail bhijwane ka plan nai tha. Usse resign isliye karwaya gaya taki logon ko kehna ka mauka na mile ki Anant mishra bhi to isi se related hai to sirf kushwaha se kyun resign krwaya gaya.


Kushwaha chapter 2 : Shadyantra 1

Shadyantra - 

Kushwaha ke kareebi logon ka kehna hai ki jab 2009 ke election ke baad party ke logon ko laga ki mayawati kendra me chali gayi to chief minister kaun banega aur unhe laga ki  shayad babu singh kushwaha  C.M. ban sakte hain aise time pe to un sabhi logon ne har ek prayas kiya kushwaha ko party se bahar niklwane ka. Log ye jante the ki kushwaha mayawati ke vishwaspatra hain to unhone mayawati ke bhai anand ka brainwash krna shuru kr dia ki  CM banne ka hak uska hai. Jabki sutron ki mane to kushwaha ko kabhi CM banne ka lalach tha hi nai wo to sirf apne samaj ke vikas me lage huye the. 

2009 tak health & family welfare department Mayawati ke pass tha aur party ke logon ka kehna hai ki iska sara kaam shashank shekhar (former cabinet secretary,up gvt.) aur Anant Kumar Mishra (former health minister) dekhte the aur jab ye department kushwaha ko diya gaya to in dono ko ye baat kuch hajam nai hui.

Kushwaha ko na pasand krne wale logon me Nasimuddin siddaqi(former cabinet minister), Fatehbahadur bhi the jinki shikayaton ka bhandar kushwaha ji ke pass hi jata tha aur aise sabhi log jo party me the wo nai chahte the ki kushwaha party me rahe.

Party ke kuch log ye jante the ki 2009 ka lok sabha election mayawati ko janbujhkar haraya gaya jisse kushwaha ki image mayawati ke samne kharab ho jaye.

Kushwaha ko neecha dikhane ki raah me BSP ne apne mehnati karyakartaon ko bhi side kr diya aur pichhade, dalit logon ko andekha kr diya.


**i know bahot logon ko lag rha hoga ki ye bakwaas hai.. mujhe bhi laga tha lekin jitna zyada maine is bare me pta kiya utni hi zyada shocking baatein samne ayi. Aap aur hum sab log bahot baar kehte hain ki "are ye to puri politics hai.. har jagah politics krte hain log."kya hai politics ka matlab? yahi hai politics jo kisi  ko ek pal me neeche gira deti hai aur kisi ko upar utha deti hai. Kabhi kisi ne socha ki kushwaha ke BSP se bahar hone ke baad kise promotion mila gaya, kise fayda hua. 




Kushwaha Chapter 1

According to Kushwaha's colleagues - 
Kushwaha ji ne jis din se BSP join ki tab se unhone apna sara kaam bahot mehnat aur honesty ke sath kia. Unhone apni life ke 27 yrs BSP ko diye hain. Unhone humesha apne kaam ho importance di. Apne kaam ke samne time ka bhi nai pta hota tha unhe ki raat ke 2 baj rhe hain ya 3. apni family ko bhi time nai de pate the aur kaam ki tension ki wajah se bahot baar beemar bhi huye.  BSP ke mehnati karyakartaon ko pehchanne, party ke honest logon ko point out krke Myawati ko btane ka kaam Kushwaha ji ka hi tha. har important information wahi mayawati ko dete the.

2007 me Kushwaha ji ki planning ki wajah se hi BSP ki government bani thi. Wo hi backward class ke logon ko ek organisation me laye jisse BSP ko bahot badi sahayta mili election me. BSP ke 2012 me harne ka ek reason ye bhi hai ki usne apne most trusted and hard working person ko nikal diya jisse 80% backword class BSP  ke against ho gaya. Lekin unhone kabhi apne kaam ka credit nai liya aur unke kaam ka credit baki log lete rahe jisse kabhi logon ne jana hi nai Babu Singh Kushwaha ne major role play kia 2007 ke elections me.

Bhale hi bahar ke logon ko na pta ho ki party ka almost sara kaam kushwaha hi krte the lekin party ke logon ko ye pta tha jisse wo kuch bhi herapheri nai kr sakte the kyunki kushwaha ko har baat ki jankari hoti thi aur kushwaha ki honesty unke har kaam ko rok deti thi. Isi wajah se party ke bahot log kushwaha ko pasand nai krte the aur aise logon ne kushwaha ke khilaaf saazish krni shuru kr di. Wo log kafi time tak to successful nai huye lekin akhirkar ek samay aa hi gaya jab kushwaha ko daagi maankar party se nikal diya gaya.

90% people don't know about him and the reason behind his downfall. that's why he is still in jail jabki CBI has no major evidence against him. All of you know ki politics me kya hota hain. i seriously feel that kushwaha ko jaanbujhkar jail se nikalne nai diya ja rha.

**I'm trying to tell truth about an important politician who was the most powerful minister in BSP government in up. plz help me with ur support and promot this. 

Intro Meri Awaaz Suno

I'm a social worker. I want to share some information related to a political person as i was going through some headlines and articles of past two years for my presentation. I found out about a person who is former cabinet minister of Uttar Pradesh in BSP's government. He is now in prison and it's been two years and there is no development of that case. His name is Babu Singh Kushwaha. Well i know people won't be interested in this thing because media has exaggerated everything by including his name in each and every article related to NRHM scam or any other scam in u.p. but i think i should tell what i found out through some research and feedbacks.

first of all what media did - i have read almost every article about him and they put his name for no reason in so many articles. He wasn't famous before this scam, so many people didn't even know his name. He never made any statement as compared to other BSP leaders however he was one of Mayawati's most trusted men and one of top three cabinet ministers of u.p. Media gave it's 100% to prove him guilty without digging into matter.

plz comment and promote my blog.