According to Kushwaha's colleagues -
Kushwaha ji ne jis din se BSP join ki tab se unhone apna sara kaam bahot mehnat aur honesty ke sath kia. Unhone apni life ke 27 yrs BSP ko diye hain. Unhone humesha apne kaam ho importance di. Apne kaam ke samne time ka bhi nai pta hota tha unhe ki raat ke 2 baj rhe hain ya 3. apni family ko bhi time nai de pate the aur kaam ki tension ki wajah se bahot baar beemar bhi huye. BSP ke mehnati karyakartaon ko pehchanne, party ke honest logon ko point out krke Myawati ko btane ka kaam Kushwaha ji ka hi tha. har important information wahi mayawati ko dete the.
2007 me Kushwaha ji ki planning ki wajah se hi BSP ki government bani thi. Wo hi backward class ke logon ko ek organisation me laye jisse BSP ko bahot badi sahayta mili election me. BSP ke 2012 me harne ka ek reason ye bhi hai ki usne apne most trusted and hard working person ko nikal diya jisse 80% backword class BSP ke against ho gaya. Lekin unhone kabhi apne kaam ka credit nai liya aur unke kaam ka credit baki log lete rahe jisse kabhi logon ne jana hi nai Babu Singh Kushwaha ne major role play kia 2007 ke elections me.
Bhale hi bahar ke logon ko na pta ho ki party ka almost sara kaam kushwaha hi krte the lekin party ke logon ko ye pta tha jisse wo kuch bhi herapheri nai kr sakte the kyunki kushwaha ko har baat ki jankari hoti thi aur kushwaha ki honesty unke har kaam ko rok deti thi. Isi wajah se party ke bahot log kushwaha ko pasand nai krte the aur aise logon ne kushwaha ke khilaaf saazish krni shuru kr di. Wo log kafi time tak to successful nai huye lekin akhirkar ek samay aa hi gaya jab kushwaha ko daagi maankar party se nikal diya gaya.
90% people don't know about him and the reason behind his downfall. that's why he is still in jail jabki CBI has no major evidence against him. All of you know ki politics me kya hota hain. i seriously feel that kushwaha ko jaanbujhkar jail se nikalne nai diya ja rha.
**I'm trying to tell truth about an important politician who was the most powerful minister in BSP government in up. plz help me with ur support and promot this.
No comments:
Post a Comment